Sunday 11 June 2017

COMPUTER BOOKS

Image result for computer books
PC from google
PDF Resources

Sunday 27 March 2016

BLUEGAPE FROM 2LACS (INV.) TO 15CR. ( REVENUE) TAK KA SAFAR

Aap kya soch rahe hai ye maine nahi rakhta aapka soch kitana bada aur valuable hai ye mayane rakhata hai. Sayad isiliye TONY HSIEH ne kaha hai.

" WHAT EVER YOU ARE THINKING THINK BIGGER"                                        

                                                                       from google search


Aaiye dekhte hai ki kaise ek chhoti si necessity ko ek simple but talented student k dwara ek bade idea k rup me change kar diya gya aur kaise ek student ne is awsyakata rupi sidhi ka use khud ki success k bulandi par pahunchne k liye kiya.


IIT Kanpur me study karne wale student SAHIL BAGHLA (Final year,  chemical engineering) ka room mate  actress MEFGNA  FOX ki tasveer wala poster apne room k diwar par lagana chahta tha. Iske liye dono ne kanpur market k sathh sathh online bhi search kiye lekin unhe kahi bhi poster nahi mila.
                            Iske baad sahil ne sabhi ko ek mail bhej kar ye janane ki kosis ki ki kya unhe bhi poster k liye ek achhe shop ki jarurat mahsus hoti hai jispar unhe positive response mila. Iske baad sahil ne online poster selling website kholne ka decision liya jaha customer ko online unke anusaar designed posters uplabdh karaya ja sake. Iske liye unhe ek coder ki talash thi jo unke liye website bana sake. Isi talas ne unhe aayush Varshney ( electrical 2nd year) se milwaya kyonki IIT kanpur me aayush ne coder k rup me ek khas pahchan bana rakhi thi.
                         Aayush ko website (www.bluegape.com) ki coding karne me jyada wakat nahi laga aur bahut jald hi unhone apne hostel room me hi apni company (www.bluegape.com) ka pahla office taiyar kar liya. Is kam me unhe takriban 2 lac indian rupees ka kharch aaya jo sahil ne apne internship ki earning se fulfil kiya.
                          www.bluegape.com ka pahla customer sahil ka room mate nahi balki IIT KANPUR k mechanical engineering ka student NITIN tha jisne five customised poster kharide ( including MEGHNA FOX). Suru me bluegape.com k sirf client sirf IIT campus k hi students the. Apne business ki publicity k liye unhone mouth publicity ka use kiya dono ne IIT k cultural festival ko promotion ka munch banaya. Order milne par we 20 km dur ja kar poster print karate aur phir use 20% munafa lekar sambandhit person ko de dete the. Teen mahine me hi unka turnover 1lakh k paar pahunch gya.
                         Apne starting success se convinced ho kar dono ne apne website ko national level tak expand karne ka decision liya. Iske liye unhe wk currier company k saath deal kar payment gateway ready karna jaruri tha. Tabhi unhe malum hua ki payment gateway sirf registered company ko hi diya jat hai. Isi k chalte unhone December 2011 ko bluegape lifestyle pvt. Ltd. K naam se apne company ko registered karaya.
                              Business model ekdam simple tha koi bhi ek copyrighted picture bluegape.com par poster ki size mention kar de sakata tha. Poster 4-10 din me print kara kar deliver kar diya jata tha. Is kam me aayush mostly technical aspect ko handle karte the aur sahil jo apne final year me the baki sare kaam ko manage karte the.
                                 Bahut jald hi company k sabhi kaam arrange ho chuke the lekin copyright unke liye samasya khada kar raha tha. Yah unke liye impossible tha ki college campus me baith kar ye sunischit kar sake ki unke dwara received kiya gya picture copy kiya hua hai ya original.  Isliye unhone apna khud ka products banane par dhyan kendrit kiya aur professional pic website se messi aur Tendulkar jaise famous star k IMAGES kharidane suru kiye.
                www.bluegape.com k suruaati saal me unhe money k rup me muskilo ka samna karna pada hai kai baar aisa hua hai ki unke account me one thousand se bhi kam rasi thi aur unhe company k liye kam kar rahe kuchh workers ko salary dena tha.
       Isi bich 2012 me sahil ka graduation pura hia aur bluegape.com ko times internet limited k accelerator program, TLAB k liye chuna gya jaha unhe mentorship , noida me office space aur 10 lakh rupees ki economic madad bhi mili. Bluegape.com is rasi ka upyog office k sthapna karne , digital inventory banane aur apni team ko majbut karne k liye kiya.
           Bluegape.com ne safalta ki ek aur sidhi chadhte hue bahut jald hi printed coffee mugs, cushions cover,  laptop skin,  t shirt bhi provide karne lagi. Bluegape ne pure country me retailers ko merchandise provide karna suru kar diya.
         Bluegape.com bahut hi teji se grow karte hue 1cr. K mark ko April 2012 me toch kar liye. Isibich bluegape k cofounder lagatar Vodafone honda jaise nam k sath unke merchandise lene k liye prayatn rat rahe jiske result me unhe warner brothers, ipl, kriss 3, 9X media jase brands k sath kam karne ka mauka mila.
        Company k cofounder ka dava hai ki pichhle do saal me ve 15 crore ka revenue hasil kar chuke hai.
      letsventure.com, jo pure world se investors ko ek palteform par lati hai k through bluegape ne apne fund ko 1.5 cr indian rupees tak raise kar liya hai.



Q- How does your offering work?
Ans:- hamare website pe aane k baad customers k paas do choice hota hai ya to we hamare web gallery se photo choose kare ya phir we jo bhi print karana chahte hai uska image size ke sath provide karaye.

Costomer k image provide kara dene k baad hamari design team jis size ka picture print karne hai uske according picture ki quality check karti hai aur ek baar phir poster k draft k saath customers ki or mukhatib hoti hai. Aur customer se clearance milane k baad hum use print karne k liye kanpur me kisi printer ko de dete hai

Q- How does the payment work? Do you offer cash on delivery?
Ans- No, delivery k samay poster k order ka cancellation chance jyada hota hai isliye hum log cash on delivery offer nahi karte hai.  Hum gharpay's cash before delivery offer karte hai.



Saturday 19 March 2016

TRISHNEET ARORA, A YOUNG ENTREPRENEUR

"Sab kasti me baith kar bhi lahro se darte hai,
Hamne dube hue ko tufa se ladte dekha hai"




Chaliye padhte hai class eight me fail hone k baad school chhod dene wale ek Indian writer,  ethical hacker, cyber security expert aur entrepreneur ka middle class child se successful young adult tak k extraordinary safar ka inspirational story.



Trishneet arora k success ki kahani aaj se karib 10 saal pahle tab suru hua jab 11 sal k age me unhe apna pahla computer mila. Bahut jald hi apne computer par experiment kar unhone computer hardware k baare me bahut saari jankari collect kar liya. Unke relatives aur padosi ko computer se related jab Bhi koi paresaani hoti to we unhi se salah lete the. Computer se apne is lagaw k wajah se hi trishneet arora ko class 8th me fail hona pada aur unhone school chhodne ka faisala liya. Unhone class 10th aur 12th ki padhai correspondence se ki aur isi bich HARDWARE and IT SECURITY se diploma kiya.



Blogging karne k dauran unki ruchi ETHICAL HACKING aur CYBER SECURITY me badhi. Wo is subject se is kadar sammohit hue ki google network se jankari juta kar iske expert ban gaye. Hacking k area me unhone apni pahli safalta apne father k email id ko hack karne me pai. Unhone ethical hacking k apne knowledge ko share karne k liye ek book liki jo kuchh khas safal nahi ho saki. Trishneet Arora  ne phir se likhna suru kiya aur bahut jald hi unka dusara book " THE HACKING ERA" February 2013 ko release hua.


2013 me unhe former finance minister of india,  Mr. Yaswant Sinha k samne speech dene ka mauka mila. Trishneet Arora k speech ko sunane k baad kuchh senior police officers ne unhe apne crime branch k liye ek workshop karane ko invite kiya. Yahi se unhone police k sath cyber crime case par kam karna suru kiya. Trishneet Arora ne bahut saare IPS officers,  bank employees aur CBI officers ko training diye hai. Isi saal trishneet arora ne  TAC SECURITY SOLUTION ko start karne ka decision liya.




15 August 2014 me , Trishneet Arora ko Panjab k CM Mr. Prakash Singh Badal se state award mila aur unhe panjab police academy ka IT salahkar appoint kiya gya. Isi saal panjab k deputy cheif minister sukhbir singh badal k hatho Trishneet Arora ka next book "HACKING TALK WITH TRISHNEET ARORA" launch kiya gya.

Google network se sikh kar ethical hacking k master bane Trishneet Arora abhi BCA kar rahe hai aur Microsoft se bharat k 3rd ethical hacker ka darja pa chuke hai. Trishneet Arora ek first generation entrepreneur hai jinhone TAC SECURITY SOLUTION nam k ek security company ki sthapna ki hai. Tac security solution vibhin company ko network vulnerability aur unke data chori hone se bachati hai.  Reliance industry,  CBI, panjab police aur gujarat police bhi is company k client list me samil hai.  Trishneet Arora k anusaar hacking k area me lagatar increment hua hai. Jisme company k portal ko hack kar bahut hi vital information ki chori ho rahi hai. Jo aaj k competitive world me company k liye bahut hi ghatak sabit ho raha hai.

Abi hal hi me trishneet arora ko virendra sehwag, ayushman khurana k saath Mumbai me PANJAB ICON AWARD DIYA GYA.