Posted by SAILAB MOHAMMAD ZAUHAR on 23:21 in entrepreneurs | No comments
"Sab kasti me baith kar bhi lahro se darte hai,
Hamne dube hue ko tufa se ladte dekha hai"
Chaliye padhte hai class eight me fail hone k baad school chhod dene wale ek Indian writer, ethical hacker, cyber security expert aur entrepreneur ka middle class child se successful young adult tak k extraordinary safar ka inspirational story.
Trishneet arora k success ki kahani aaj se karib 10 saal pahle tab suru hua jab 11 sal k age me unhe apna pahla computer mila. Bahut jald hi apne computer par experiment kar unhone computer hardware k baare me bahut saari jankari collect kar liya. Unke relatives aur padosi ko computer se related jab Bhi koi paresaani hoti to we unhi se salah lete the. Computer se apne is lagaw k wajah se hi trishneet arora ko class 8th me fail hona pada aur unhone school chhodne ka faisala liya. Unhone class 10th aur 12th ki padhai correspondence se ki aur isi bich HARDWARE and IT SECURITY se diploma kiya.
Blogging karne k dauran unki ruchi ETHICAL HACKING aur CYBER SECURITY me badhi. Wo is subject se is kadar sammohit hue ki google network se jankari juta kar iske expert ban gaye. Hacking k area me unhone apni pahli safalta apne father k email id ko hack karne me pai. Unhone ethical hacking k apne knowledge ko share karne k liye ek book liki jo kuchh khas safal nahi ho saki. Trishneet Arora ne phir se likhna suru kiya aur bahut jald hi unka dusara book " THE HACKING ERA" February 2013 ko release hua.
2013 me unhe former finance minister of india, Mr. Yaswant Sinha k samne speech dene ka mauka mila. Trishneet Arora k speech ko sunane k baad kuchh senior police officers ne unhe apne crime branch k liye ek workshop karane ko invite kiya. Yahi se unhone police k sath cyber crime case par kam karna suru kiya. Trishneet Arora ne bahut saare IPS officers, bank employees aur CBI officers ko training diye hai. Isi saal trishneet arora ne TAC SECURITY SOLUTION ko start karne ka decision liya.
15 August 2014 me , Trishneet Arora ko Panjab k CM Mr. Prakash Singh Badal se state award mila aur unhe panjab police academy ka IT salahkar appoint kiya gya. Isi saal panjab k deputy cheif minister sukhbir singh badal k hatho Trishneet Arora ka next book "HACKING TALK WITH TRISHNEET ARORA" launch kiya gya.
Google network se sikh kar ethical hacking k master bane Trishneet Arora abhi BCA kar rahe hai aur Microsoft se bharat k 3rd ethical hacker ka darja pa chuke hai. Trishneet Arora ek first generation entrepreneur hai jinhone TAC SECURITY SOLUTION nam k ek security company ki sthapna ki hai. Tac security solution vibhin company ko network vulnerability aur unke data chori hone se bachati hai. Reliance industry, CBI, panjab police aur gujarat police bhi is company k client list me samil hai. Trishneet Arora k anusaar hacking k area me lagatar increment hua hai. Jisme company k portal ko hack kar bahut hi vital information ki chori ho rahi hai. Jo aaj k competitive world me company k liye bahut hi ghatak sabit ho raha hai.
Abi hal hi me trishneet arora ko virendra sehwag, ayushman khurana k saath Mumbai me PANJAB ICON AWARD DIYA GYA.
0 comments:
Post a Comment