Sunday 27 March 2016

BLUEGAPE FROM 2LACS (INV.) TO 15CR. ( REVENUE) TAK KA SAFAR

Posted by SAILAB MOHAMMAD ZAUHAR on 04:40 in | No comments
Aap kya soch rahe hai ye maine nahi rakhta aapka soch kitana bada aur valuable hai ye mayane rakhata hai. Sayad isiliye TONY HSIEH ne kaha hai.

" WHAT EVER YOU ARE THINKING THINK BIGGER"                                        

                                                                       from google search


Aaiye dekhte hai ki kaise ek chhoti si necessity ko ek simple but talented student k dwara ek bade idea k rup me change kar diya gya aur kaise ek student ne is awsyakata rupi sidhi ka use khud ki success k bulandi par pahunchne k liye kiya.


IIT Kanpur me study karne wale student SAHIL BAGHLA (Final year,  chemical engineering) ka room mate  actress MEFGNA  FOX ki tasveer wala poster apne room k diwar par lagana chahta tha. Iske liye dono ne kanpur market k sathh sathh online bhi search kiye lekin unhe kahi bhi poster nahi mila.
                            Iske baad sahil ne sabhi ko ek mail bhej kar ye janane ki kosis ki ki kya unhe bhi poster k liye ek achhe shop ki jarurat mahsus hoti hai jispar unhe positive response mila. Iske baad sahil ne online poster selling website kholne ka decision liya jaha customer ko online unke anusaar designed posters uplabdh karaya ja sake. Iske liye unhe ek coder ki talash thi jo unke liye website bana sake. Isi talas ne unhe aayush Varshney ( electrical 2nd year) se milwaya kyonki IIT kanpur me aayush ne coder k rup me ek khas pahchan bana rakhi thi.
                         Aayush ko website (www.bluegape.com) ki coding karne me jyada wakat nahi laga aur bahut jald hi unhone apne hostel room me hi apni company (www.bluegape.com) ka pahla office taiyar kar liya. Is kam me unhe takriban 2 lac indian rupees ka kharch aaya jo sahil ne apne internship ki earning se fulfil kiya.
                          www.bluegape.com ka pahla customer sahil ka room mate nahi balki IIT KANPUR k mechanical engineering ka student NITIN tha jisne five customised poster kharide ( including MEGHNA FOX). Suru me bluegape.com k sirf client sirf IIT campus k hi students the. Apne business ki publicity k liye unhone mouth publicity ka use kiya dono ne IIT k cultural festival ko promotion ka munch banaya. Order milne par we 20 km dur ja kar poster print karate aur phir use 20% munafa lekar sambandhit person ko de dete the. Teen mahine me hi unka turnover 1lakh k paar pahunch gya.
                         Apne starting success se convinced ho kar dono ne apne website ko national level tak expand karne ka decision liya. Iske liye unhe wk currier company k saath deal kar payment gateway ready karna jaruri tha. Tabhi unhe malum hua ki payment gateway sirf registered company ko hi diya jat hai. Isi k chalte unhone December 2011 ko bluegape lifestyle pvt. Ltd. K naam se apne company ko registered karaya.
                              Business model ekdam simple tha koi bhi ek copyrighted picture bluegape.com par poster ki size mention kar de sakata tha. Poster 4-10 din me print kara kar deliver kar diya jata tha. Is kam me aayush mostly technical aspect ko handle karte the aur sahil jo apne final year me the baki sare kaam ko manage karte the.
                                 Bahut jald hi company k sabhi kaam arrange ho chuke the lekin copyright unke liye samasya khada kar raha tha. Yah unke liye impossible tha ki college campus me baith kar ye sunischit kar sake ki unke dwara received kiya gya picture copy kiya hua hai ya original.  Isliye unhone apna khud ka products banane par dhyan kendrit kiya aur professional pic website se messi aur Tendulkar jaise famous star k IMAGES kharidane suru kiye.
                www.bluegape.com k suruaati saal me unhe money k rup me muskilo ka samna karna pada hai kai baar aisa hua hai ki unke account me one thousand se bhi kam rasi thi aur unhe company k liye kam kar rahe kuchh workers ko salary dena tha.
       Isi bich 2012 me sahil ka graduation pura hia aur bluegape.com ko times internet limited k accelerator program, TLAB k liye chuna gya jaha unhe mentorship , noida me office space aur 10 lakh rupees ki economic madad bhi mili. Bluegape.com is rasi ka upyog office k sthapna karne , digital inventory banane aur apni team ko majbut karne k liye kiya.
           Bluegape.com ne safalta ki ek aur sidhi chadhte hue bahut jald hi printed coffee mugs, cushions cover,  laptop skin,  t shirt bhi provide karne lagi. Bluegape ne pure country me retailers ko merchandise provide karna suru kar diya.
         Bluegape.com bahut hi teji se grow karte hue 1cr. K mark ko April 2012 me toch kar liye. Isibich bluegape k cofounder lagatar Vodafone honda jaise nam k sath unke merchandise lene k liye prayatn rat rahe jiske result me unhe warner brothers, ipl, kriss 3, 9X media jase brands k sath kam karne ka mauka mila.
        Company k cofounder ka dava hai ki pichhle do saal me ve 15 crore ka revenue hasil kar chuke hai.
      letsventure.com, jo pure world se investors ko ek palteform par lati hai k through bluegape ne apne fund ko 1.5 cr indian rupees tak raise kar liya hai.



Q- How does your offering work?
Ans:- hamare website pe aane k baad customers k paas do choice hota hai ya to we hamare web gallery se photo choose kare ya phir we jo bhi print karana chahte hai uska image size ke sath provide karaye.

Costomer k image provide kara dene k baad hamari design team jis size ka picture print karne hai uske according picture ki quality check karti hai aur ek baar phir poster k draft k saath customers ki or mukhatib hoti hai. Aur customer se clearance milane k baad hum use print karne k liye kanpur me kisi printer ko de dete hai

Q- How does the payment work? Do you offer cash on delivery?
Ans- No, delivery k samay poster k order ka cancellation chance jyada hota hai isliye hum log cash on delivery offer nahi karte hai.  Hum gharpay's cash before delivery offer karte hai.



0 comments:

Post a Comment